Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho; kaise bataon main tumhe mere liye tum dharam ho, mere liye imaan ho; tum hi ibaadat ho meri, tum hi to chaahat ho meri; tum hi mera armaan ho, takta hoon main har pal jisse tum hi to voh tasveer ho, tum hi meri taqdeer ho; tum hi sitaara ho mera, tum hi nazaara ho mera; yudhyan mein mere ho tum, jaise mujhe ghere ho tum; purab mein tum, paschim mein tum, uttar mein tum, dakshin mein tum, saare mere jeevan mein tum, har pal mein tum, har chin mein tum; mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum, mere liye saagar bhi tum, mere liye saahil bhi tum; main dekhta bas tumko hoon, main sochta bas tumko hoon, main jaanta bas tumko hoon, main maanta bas tumko hoon, tum hi meri pehchaan ho; kaise bataon main tumhe, devi ho tum mere liye, mere liye bhagwaan ho; kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho Nana Patekar ( Movie: Wajood )
 Poem   Romance   Religion & God