Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho; yeh joh tumhara roop hai, yeh zindagi ki dhoop hai; chandan se tarsha hai badan, behti hai jis mein ek agan; yeh shokhiyan, yeh mastiyan, tumko hawaon se mili, zulfein ghataon se mili; hooton mein kaliyan khil gayi, aankhon ko jheele mil gayi; chehre mein simti chandni, awaaz mein hai ragini; sheeshe ke jaisa ang hai, phoolon ke jaisa rang hai, nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai, kya haal hai; yeh jism ki rangeeniyan, jaise hazaaron titliyan, baahon ki yeh golaiyan, aanchal mein yeh parchaiyan; yeh nagriyan hai khwaab ki, kaise bataon main tumhe haalat dil-e-betaab ki; kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho Nana Patekar ( Movie: Wajood )
 Poem   Romance