Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya; humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai; duniya mein yunhi hota hai; yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai; thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa; aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai; kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai Farhan Akhtar ( Movie: Zindagi Na Milegi Dobara )
 Poem   Inspiration   Romance