Dard-E-Dil Dard-E-Jigar Lyrics
Are you looking for Dard-E-Dil Dard-E-Jigar lyrics form movie Karz ( 1980 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Dard-E-Dil Dard-E-Jigar sung by our favourite singer Mohd Rafi. This awesome song written by Anand Bakshi and directed by Laxmikant Pyarelal.
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne 2
pehle to maein shaayar tha)2 aashiq banaya aapne
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne 2
aapki madhosh nazrein kar rahi hain shaayari 2
yeh ghazal meri nahin yeh ghazal hai aapki
maine to bas woh likha, jo kuchh likhaaya aapne
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne 2
kab kahan sab kho gayi jitni bhi thi parchhaiyaan
uth gayi yaaron ki mehfil ho gayi tanhaiyaan
kab kahan sab kho gayi jitni bhi thi parchhaiyaan
uth gayi yaaron ki mehfil ho gayi tanhaiyaan
kya hua shayad koi parda giraaya aapne
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne 2
aur thodi der mein bas hum judaa ho jayenge 2
aapko dhoondunga kaise raaste kho jayenge
naam tak bhi to nahin apna bataaya aapne
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
pehle to maein shaayar tha 2
aashiq banaya aapne
dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Dard-E-Dil Dard-E-Jigar - Song Info.
Karz ( 1980 )Singer: Mohd Rafi
Music Directors: Laxmikant Pyarelal
Lyricists: Anand Bakshi
Happy
Lyric By Movies
Lyric By Category