Ek Hasina Thi Lyrics

Are you looking for Ek Hasina Thi lyrics form movie Karz ( 1980 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Ek Hasina Thi . This awesome song directed by laxmikant Pyarelal.


ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar, kya samaa, kya zamana tha
ek hasina thi, hasina thi, ek deewana tha, deewana tha
kya umar, kya samaa, kya zamana tha
ek din woh mile roz milne lage - 2
phir mohabbat huyi, bas qayamat huyi
kho gaye tum kahan, sunke yeh dastaan
log hairaan hain, kyunki anjaan hain
ishq ki woh gali, baat jiski chali
us gali mein, mera aana, jaana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar thi, kya samaa tha, kya zamana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
oos hasin ne kaha - 2, suno jaanewafa
yeh falak, yeh zameen, tere bin kuch nahin
tujhpe marti hoon main, pyaar karti hoon main
baat kuch aur thi, woh nazar-chor thi
uske dil mein chupi, chaah daulat ki thi
pyaar ka woh fakat, ek bahana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar thi, kya samaa tha, kya zamana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
bewafa yaar ne, apne mehboob se
aisa dhoka kiya, ((aisa dhoka kiya) (dhoka dhoka) - 2)
aisa dhoka kiya, zaher usko diya
(dhoka dhoka dhoka - 2), zaher usko diya
mar gaya woh jawan - 2, ab suno dastaan
janm leke kahin, phir woh pahucha wahin
shakl anjaan thi, katl hairaan thi
saamna jab hua - 2, phir wahi sab hua
uspe yeh karz tha, uska ye farz tha, farz ko karz apna chukana tha


Ek Hasina Thi - Song Info.

Karz ( 1980 )
Singer:
Music Directors: laxmikant Pyarelal
Lyricists:
 Rock/Disco