Nahi ishq mein iska toh ranj hum mein, ke qarar-o-shakeb zara na raha; gham-e-ishq toh apna rafeeq raha, koi aur bala se raha na raha; na thi haal ki jab hum mein apni khabar, rahe dekhte auron ke aeb-o-hunar; padi apni buraiyon pe joh nazar, toh nigaah mein koi bura na raha; zafar aadmi usko na jaaniyega, ho woh kaisa hi saheb-e-fehmozaka; jisse aaish mein yaadein khuda na rahi, jisse taish mein khauf-e-khuda na raha ( Movie: Mirza Ghalib )
 Poem   Religion & God   Romance