Pyar woh nasha hai jis mein chain kho jaata hai, hosh udh jaata hai, neend gayab ho jaati hai; kisi ko milne ki, chune ki, kehne ki, sunne ki, kisi ko apna banane ki, kisi ka ho jaane ki khawaish hoti hai, jeene ko mann karta hai; pyar woh andhrooni bahaar hai jis mein kalpana ke phool khilte hai, kavita ko sur milte hai, chahaton ke mele lagte hai, kisse mehakte hai, kah-kahe lagte hai, karaar milta hai; pyar woh insaani karishma hai jis mein aane waale kal ko wajah milti hai, guzre hue kal ko wajood milta hai, anjaan logon ka dil milta hai, soone safar ko sahil milta hai Shahrukh Khan ( Movie: Oh Darling Yeh Hai India )
 Romance   Poem   Weather