Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai; ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati; toh shadaab ho bhi sakti thi; yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai; teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi; magar yeh ho na saka; magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai; ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi; guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise; isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi; na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag; bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri; inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar; main janta hoon meri humnafas; magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai Amitabh Bachchan ( Movie: Kabhi Kabhie )
 Poem   Romance