Mohabbat kis chiddiya ka naam hai, humein bhi batana; bhor saver woh kabhi gungunaye, toh humein bhi sunana; dikh jaye toh dikhana; kisi roz kabhi aangan aaye, behla phuslake rok toh lenge; mishri ki daaliyan apne haathon se uski chonch mein denge; sikha denge usse hamara naam daurana; seekh lenge bina parwah kiye udh jaana; suna hai kaante pe dil khop gulaabon mein rakht bhar deta hai; jaan dekar dil mein ghar kar leta hai; neend chura churake, chain jodh jodhke, ek gharaunda banata hai, aahon ke jhule jhulata hai; phir jab do din sau saal se guzarte hai hum patjhad se bhikarte hai; woh pinjre mein band chhod, rooh ko todh marodh kisi aur chajje pe ek naya geet gaata hai; dana tum daalo woh kisi aur ko phasata hai Diljit Dosanjh ( Movie: Phillauri )
 Poem Animals & Birds