Mujhe kisi insaan se koi shikayat nahi hai; mujhe shikayat hai samaaj ke us dhanche se joh insaan se uski insaaniyat cheen leta hai; matlab ke liye apne bhai ko beghana banata hai; dost ko dushman banata hai; mujhe shikayat hai us tehzeeb se, us sanskriti se jahan murdon ko puja jaata hai; aur zinda insaan ko pairon tale raunda jaata hai; jahan kisi ke dukh dard pe do aansoon bahana buzdili samjha jaata hai; chupke milna ek kamzori samjha jaata hai; aaise maahaul mein mujhe kabhi shanti nahi milegi, kabhi shanti nahi milegi Guru Dutt ( Movie: Pyaasa (1957) )
 Drama   Inspiration