Na aadi na anth hai uska; woh sabka na inka unka; wohi shunya hai, wohi ikai; jiske bheetar basa Shivaay; aankh moondkar dekh raha hai; saath samay ke khel raha hai; Mahadev maha ekaki; jiske liye jagat hai jagi; wohi shunya hai, wohi ikai; jiske bheetar basa Shivaay; Ram bhi uska, Ravan uska; jeevan uska maran bhi uska; tandav hai aur dhyan bhi woh hai; agyani ka gyan bhi woh hai; isko kaanta lage na kankar; rann mein Rudra, gharon mein Shankar; anth yahi sare vighno ka; is bhole ka vaar bhayankar; wohi shunya hai, wohi ikai; jiske bheetar basa Shivaay Ajay Devgan ( Movie: Shivaay )
 Poem   Religion & God