Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai; maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai; na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai; is bhayanak baat ka nahi koi savera hai; maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log; is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log; dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai; na jeene ki aur na jeevan ki asha hai; kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha; insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha ( Movie: Jaanwar )
 Poem   Death   World & Universe