Insaaf bik raha hai, emaan bik raha hai; bazar sa laga hai, samaan bik raha hai; is Ram ki dharti par Ravan ka raj hai; kanoon thak chuka hai, napunsak samaaj hai; har modh par yahan toh insaan bik raha hai; bazar sa laga hai, samaan bik raha hai; noton ke naam par, kahin voton ke naam par; tirthon ke naam par, kahin dharamon ke naam par; lag rahi hai boliyan, bhagwan bik raha hai; bazar sa laga hai, samaan bik raha hai; manavta lut rahi hai, khamosh hai vidhata; dharti par badte paapon ko mitaane; janam kyun nahi leta koi mrityudaata Amitabh Bachchan ( Movie: Mrityudaata )
 Poem   Death   Religion & God