Abhi Mujh Mein Kahin Lyrics

Are you looking for Abhi Mujh Mein Kahin lyrics form movie Agneepath ( 2012 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Abhi Mujh Mein Kahin sung by our favourite singer Sonu Nigam. This awesome song written by Amitabh Bhattacharya and directed by Ajay - Atul.


abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi
jagi dhadkan nayi, jaana zinda hoon main toh abhi
kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
yeh lamha kahaan tha mera
ab hai saamne, isse chhoo loon zara
marr jaaun ya jee loon zara
khushiyaan choom loon
ya ro loon zara
marr jaaun ya jee loon zara

hoo abhi mujh mein kahin, baaki thodi si hai zindagi

hoo dhoop mein jalte hue tann ko, chhaya pedh ki mil gayi
roothe bacche ki hansi jaise, phuslaane se phir khil gayi
kuch aisa hi ab dil ko mehsoos ho raha hai
barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai
kuch aisa rehem, iss lamhe mein hai
ye lamha kahaan tha mera
ab hai saamne, isse chhoo loon zara
marr jaaun ya jee loon zara
khushiyaan choom loon
ya ro loon zara
marr jaaun ya jee loon zara

dor se tooti patang jaisi, thi yeh zindagaani meri
aaj hoon kal ho mera na ho
har din thi kahaani meri
ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaaye
aane wale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai
yeh lamha kahaan tha mera
ab hai saamne, isse chhoo loon zara
marr jaaun ya jee loon zara
khushiyaan choom loon
ya ro loon zara
marr jaaun ya jee loon zara


Abhi Mujh Mein Kahin - Song Info.

Agneepath ( 2012 )
Singer: Sonu Nigam
Music Directors: Ajay - Atul
Lyricists: Amitabh Bhattacharya
 Sad