Mehafil Se Uth Jaanewaalon Lyrics

Are you looking for Mehafil Se Uth Jaanewaalon lyrics form movie Dooj Ka Chand ( 1964 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Mehafil Se Uth Jaanewaalon sung by our favourite singer Mohammad Rafi. This awesome song written by Sahir Ludhianavi and directed by Roshan.


mahafil se uth jaanevaalon, tum logon par kyaa ilzaam
tum aabaad gharon ke baasi, main aavaaraa aur badanaam
mere saathi, mere saathi, mere saathi khaali jaam
mere saathi khaali jaam

do din tum ne pyaar jataayaa, do din tum se mel rahaa
achchhaa khaasaa vaqt kataa, aur achchhaa khaasaa khel rahaa
achchhaa khaasaa khel rahaa
ab us khel kaa zikr hi kaisaa, vakt kataa aur khel tamaam
mere saathi ....

tum ne dhoondhi sukh ki daulat, mainne paala gham ka rog
kaise banataa kaise nibhataa, ye rishtaa aur ye sanjog
main ne dil ko dil se tola, tum ne maange pyaar ke daam
mere saathi ....

tum duniyaa ko behatar samajhe, main paagal tha,khuwaar hua
tum ko apana ne nikalaa tha, khud se bhi bezaar hua
khud se bhi bezaar hua
dekh liyaa ghar funk tamaashaa, jaan liya apana anjaam
mere saathi ..
mere saathi khaali jaam .....
*************************************
महफ़िल से उठ जानेवालों, तुम लोगों पर क्या इल्ज़ाम
तुम आबाद घरों के बासी, मैं आवारा और बदनाम
मेरे साथी, मेरे साथी, मेरे साथी खाली जाम
मेरे साथी खाली जाम

दो दिन तुम ने प्यार जताया, दो दिन तुम से मेल रहा
अच्छा खासा वक़्त कटा, और अच्छा खासा खेल रहा
अच्छा खासा खेल रहा
अब उस खेल का ज़िक्र ही कैसा, वक्त कटा और खेल तमाम
मेरे साथी ....

तुम ने ढूँढी सुख की दौलत, मैंने पाला ग़म का रोग
कैसे बनाता कैसे निभता, ये रिश्ता और ये संजोग
मैं ने दिल को दिल से तोला, तुम ने माँगे प्यार के दाम
मेरे साथी ....

तुम दुनिया को बेहतर समझे, मैं पागल था,खुवार हुआ
तुम को अपना ने निकला था, खुद से भी बेज़ार हुआ
खुद से भी बेज़ार हुआ
देख लिया घर फ़ूंक तमाशा, जान लिया अपना अन्जाम
मेरे साथी,
मेरे साथी खाली जाम ...

[submitted on 12-apr-2008]


Mehafil Se Uth Jaanewaalon - Song Info.

Dooj Ka Chand ( 1964 )
Singer: Mohammad Rafi
Music Directors: Roshan
Lyricists: Sahir Ludhianavi
 Sharaabi/Nasha