Nain Deewane Lyrics

Are you looking for Nain Deewane lyrics form movie Afsar ( 1950 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Nain Deewane . This awesome song directed by S.D.Burman.


nain deewane, ek nahin maane
kare man maani, maane naa
huye hai paraaye, man haar aaye
man ka maram jaane naa, jaane naa, maane naa
nain deewane

jaana naa jaana, man hi naa jaana
chitavan saawan, banata nishaana - 2
kaisa nishaana, kaisa nishaana
man hi pahechaane naa, maane naa, maane naa
nain deewane

jeevan beli, kare athakheli - 2
maheke man ke bakul
preet phool phoole, jhulaa jhule
chaheke man bul-bul, maheke man ke bakul
man kyaa jaane, kyaa hoga kal
dhaar samay ki baheti pal pal
jeevan chanchal, jeevan chanchal
din jaake phir aaye naa, aaye naa, aaye naa
nain deewane

[suraiya:afsar:1948:s.d.burman]


Nain Deewane - Song Info.

Afsar ( 1950 )
Singer:
Music Directors: S.D.Burman
Lyricists:
 Happy