Kitni Baatein Lyrics

Are you looking for Kitni Baatein lyrics form movie Lakshya ( 2004 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Kitni Baatein . This awesome song written by Javed Akhtar and directed by Shankar Ehsaan Loy.


kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon
dil ko kya samjhaun



kitni baatein kehne ki hai
honton par jo sehmi si hai
ek roz inhein sun lo
kyun aise gum-sum ho



kyun poori ho na paayi daastaan



kaise aayi hai aisi dooriyaan


dono ke dilon mein chhupa hai
jo ek anjaana sa gham
kya ho paayega woh kam
koyi kya kahe



dono ne kabhi zindagi ke
ek mod pe bhi jo paayi
hai kaisi woh tanhaai
koyi kya kahe



kitna viraan hai ye sama


saanson mein jaise
ghulta hai dhuwan
kaisi aayi hai aisi dooriyaan



kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon



tumse aaj yun milke dil ko
yaad aaye lamhein kal ke
ye aansoon kyun hai chhalke
ab kya kahen



tumne hamko dekha jo aise
to ek umeed hai jaagi
phir tumse pyaar paane ki
ab kya kahen



aa gaye ham kahaan se kahaan


hariharan:
dekhe mudke ye dil ka kaarvaan
kaisi aayi hai aisi dooriyaan



kitni baatein kehne ki hai
honton par jo sehmi si hai
ek roz inhein sunlo
kyun aise gum-sum ho



kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon
dil ko kya samjhaun


Kitni Baatein - Song Info.

Lakshya ( 2004 )
Singer:
Music Directors: Shankar Ehsaan Loy
Lyricists: Javed Akhtar
 Sad