Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics

Are you looking for Kandhon Se Milte Hain Kandhe lyrics form movie Lakshya ( 2004 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Kandhon Se Milte Hain Kandhe sung by our favourite singer Hariharan, Kunal Ganjawala, Roop Kumar Rathod, Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Vijay Prakas. This awesome song written by Javed Akhtar and directed by Shankar Ehsaan Loy.


(kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2

ab toh hamein aage badte hai rehna
ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna

roop kumar:
ab toh hamein aage badte hain rehna
ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna

ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana

hariharan: ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana

(kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2

nikle hain maidaan mein ham jaan hatheli par le kar

ab dekho dam lenge ham jaake apni manzil par


khatron se haske khelna, itni toh ham mein himmat hai

mode kalaai maut ki, itni toh ham mein taaqat hai

ham sarhadon ke waaste lohe ki ik deewaar hai
ham dushmanon ke waaste hoshiyaar hai taiyaar hai

ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana

ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana

kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain


josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo

josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo

jeet ki jo tasveer banaane ham nikle hain apni lahoo se
ham ko us mein rang bharna hai

saathi maine apne dil mein ab ye thhaan liya hai
ya toh ab karna hai, ya toh ab marna hai

chaahein angaarein barse ke bijli gire
tu akela nahin hoga yaara mere


koyi mushkil ho ya ho koyi ho morcha
saath har mod par honge saathi tere

ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana


ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana
kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain


ik chehra aksar mujhe yaad aata hai
is dil ko chupke chupke woh tadpaata hai

jab gharse koyi bhi khat aaya hai
kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai

palkon palkon pe yaadon ke kuch deep jaise jalte hain
kuch sapne aise hain, jo saath saath chalte hain

koyi sapna na toote koyi waada na toote
tum chaaho jisse dil se woh tumse na roothhe

ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana

ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana

kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

chalta hai jo ye kaarvaan, gunji si hai ye waadiyaan

hai ye zameen, ye aasmaan

hai ye hawa, hai ye sama

har raste ne, har waadi ne har parbat ne sada di

ham jeetenge ham jeetenge ham jeetenge har baazi
(kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -4

chalta hai jo... ye kaarvaan..., gunji si hai... ye waadiyaan...


Kandhon Se Milte Hain Kandhe - Song Info.

Lakshya ( 2004 )
Singer: Hariharan, Kunal Ganjawala, Roop Kumar Rathod, Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Vijay Prakas
Music Directors: Shankar Ehsaan Loy
Lyricists: Javed Akhtar
 Patriotic