Mausam Hai Aashiqaana Lyrics

Are you looking for Mausam Hai Aashiqaana lyrics form movie Pakeezah ( 1971 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Mausam Hai Aashiqaana sung by our favourite singer Lata Mangeshkar. This awesome song directed by Ghulam Mohammad.


[singer:- lata mangeshkar]

mausam hain aashikaanaa
aye dil kahin se un ko aise men dhoondh laana

kehana ke rrut jawaan hai, aur ham taras rahe hain
kaali ghata ke saaye, birahan ko das rahe hain
dar hain na maar daale, saawan ka kya thhikaana
sawaan ka kya thhikaana
mausam hai...........

sooraj kahin bhi jaaye, tum par na dhup aaye
tum ko pukaarate hai, in gesooon ke saaye
aa jaao main banaa doo, palakon ka shaamiyaana
palakon ka shaamiyaana
mousam hai..................

phirate hain ham akele, baaho men koi lele
aakhir koi kahan tak, tanahaeeyon se khele
din ho gaye hain zaalim,
raate hain qatilaana
raate hain qaatilaana
mousam hai..................

ye raat ye khaamoshee, ye khwaab se nazaare
juganoo hain yaa zameen par, utare huye hain taare
bekhwaab meri aankhe, madahosh hain zamaana
madahosh hain zamaana
mousam hai....................

*************************************


Mausam Hai Aashiqaana - Song Info.

Pakeezah ( 1971 )
Singer: Lata Mangeshkar
Music Directors: Ghulam Mohammad
Lyricists:
 Ghazals