Mujhe Teri Mohabbat Ka Lyrics

Are you looking for Mujhe Teri Mohabbat Ka lyrics form movie Aap Aye Bahaar Aayee ( 1971 )? If Yes, then you have reached at right place because here we have shared lyrics of most popular song Mujhe Teri Mohabbat Ka sung by our favourite singer Mohammad Rafi and Lata mangeshkar. This awesome song written by Anand Bhakshi and directed by Laxmikant Pyarelal.


--male--
dilshaad tha ke phool khilenge bahaar mein
maara gaya gareeb isi aitbaar mein

--female--
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota - 2
agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

--male--
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota

--female--
na tha manzoor kismat ko, na thi marzi bahaaron ki
nahin to is gulistaan mein
nahin to is gulistaan mein kami thi kya nazaaron ki
meri nazaron ko bhi koi nazaara mil gaya hota
agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

--male--
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
khushi se apni aankhon ko main ashkon se bheego leta
mere badle tu has legi
mere badle tu has legi, tere badle main ro leta
mujhe ae kaash tera dard saara mil gaya hota
agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

--female--
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
mili hai chaandni din ko, yeh unki apni kismat hai
mujhe apne muqaddar se
mujhe apne muqaddar se faqat itni shikaayat hai
mujhe toota hua koi sitaara mil gaya hota
agar toofaan nahin aata, kinaara mil gaya hota

--male--
mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota


Mujhe Teri Mohabbat Ka - Song Info.

Aap Aye Bahaar Aayee ( 1971 )
Singer: Mohammad Rafi and Lata mangeshkar
Music Directors: Laxmikant Pyarelal
Lyricists: Anand Bhakshi
 Sad