Chakravyuh mein ghusne se pehle kaun tha main aur kaisa tha, yeh mujhe yaad hi na rahega; chakravyuh mein ghusne ke baad mere aur chakravyuh ke beech sirf jaanleva nikatta thi, iska mujhe pata hi na chalega; chakravyuh se bahar nikalne par main mukt ho jaon bhale hi, phir bhi chakravyuh ki rachna mein fark hi na padega; maron ya maaron, maara jaon ya jaan se maardon, iska faisla kabhi na ho payega; soya hua aadmi jab neend mein se uthkar chalna shuru karta hai, tab sapnon ka sansar usse dobara dikh hi na payega; us roshni mein joh nirnay ki roshni hai, sab kuch samaan hoga kya; ek palhade mein napunsakta, doosre palhade mein parush aur theek tarazu ke kaante par ardh satya Om Puri ( Movie: Ardh Satya )
 Poem   Life   Dreams